Pages

Wednesday, January 29, 2014

Yeh qaid-o-band ki saubaten

Yeh qaid-o-band ki saubaten
Yeh pabandiyon ki aadaten
Yeh apnapan ki bandishen
Yeh dil-o-jaan ki ranzishen
Yeh tarz-e-takallum ki laghzishen

Khudaaya!
ab ub gaya hai qalb-o-jaan
Parda ab yeh dil se hata

Jeene de chand sayaten
Milne de kuch rahaten
Chalne de khuli fiza me ab

Jaam se jaam takraane de
Pathar ko bhi toot jane de
Sailaab ya andhi aane de
Jeene de ab jeene de ab jeene de

Friday, January 10, 2014

Mahe Rabiul Aow-wal Midhat-e-Huzoor Sallalahualaihiwasallam

Araha hai paak Mah-e-Rabiul Aow'wal
Rasulon ka Imaam khatimul Payambar
Ghulamon ki hai Ijaazat Eid manaye
Farishton k sath bhi hai Awwal-o-Aakhir

Tamam kainaat aaj masroor kiyon hain
Charinde parinde aaj maghroor kiyon hai
Kiyon hai har simt me shaadmani ka ujala
Har ek zarr-e-zameen ka mashkoor kiyon hai

Kaoun-o-Makan Aaj tashreef la rahe hain
Aashiqon ka jaanan tashreef la rahe hain
Har zarre zameen ko aaj tum ujala kardo
Mehboo-e-Kibria aaj tashreef la rahe hain

Hamdo-n-Sana me raho mashghool Ghulamon
Khaliq-e-Kainaat ko manzoor hon Ghulamon
Ratbul lisan rahen keh Aaqa aarahe hain
Midhat-e-Nabi me masroof hon ghulaamon

Aaqa ki aamad hai kaho marhaba tum
BAQI! Iblis ki tarah na bano mardood tum
Padhte hain Khuda khud Salaam jis nabi par
Ho jao Rabb-e-Paak or Farishton k sath tum