Pages

Monday, September 26, 2011

Dil Jalaa kar roushni di thi tuzhe maine kabhi

===================================================
Muqaddar ki to milke rahegi yeh tera wada hai
Aye Parwardigar muzhe wo ata kr jo qismat me nahi
===================================================
Dil jala kar roushni di thi tuzhe maine kabhi
Aaj andhere me bhatak raha hun koi dia nai milta
Har sanson me teri zindegi mangi thi rab se maine kabhi
Aaj meri salamati ki dua kelea do hath nai milta
Mai teri khatir har rishton ko begna jana magar
Aaj apnon me bhi muzhe koi chehra shanasa nai milta
===================================================
kabhi usy fursat nai thi gairon se hamkalami ki
aaj bhari mehfil me aafshan ki he hal-e-dil apna
is qadar kamzor hai woh ahsas na tha phle kabhi
shayed yeh andaz-e-juda he talash-e-rafeeq ka
Ilahi wasta he tera hijr me ak raaz tha
jab dekha mathe pe uske sijde ka nishan tha
niyat ki he aye hasan pakiza he woh bila shuba
har hal me usy in gunahon se bachana hoga
isi garz maine toda he yeh bandhan ko
take paa sake woh falah tere rah-e-haq par rahne ko
Ya Ilahi bachale usy is fereb ki dunia se
woh masum he uski masoomiyat kabhi majrooh na ho paye
aaj bhi basti he jaan meri usme kahii na kahi
par uski behtri kelea juadai ko muqaddar mana hai
de taufeeq or sadat bhi ahkam-e-shariat baja laun
jitna ho sake mumkin teri bandegi me sar-e-kham rahun
===================================================
Be-khudi me jia jo pal
Sukuu me o rahat muyassar nahi
Pal pal har pal uski yadon me
tadpa hai magr lutf gaya nahi
==============================================
Hum lete thy asar uske chehre ki tayassurat se
Usy to e bhi gawara na tha hamari berukhi daryaft krta
==============================================
Kuch socha to humne bhi aisa hi tha
Magar teri khushi k agy majboor tha
Muzhe Ilzam na de adhuri chahat ka,
Sab kuch kho kar bhi mai tera mashkoor tha
==============================================
Zindegi jeene ki qasam khaie hai humne har rang me
Elahi dil ki jagah paththar rakhne ka hunar aajaye
==============================================
Murzha gaya hai dil uski yadon me
Taras gayin hain ankheyn uske didar me
U to har lamha tasawwur me basi hai hamnawa
Magar meri gairat ne meri halat ko ussy poshida rakha
===============================================
Muzhe khone ka gham nahi, kiuy k woh mera tha hi nahi
Usne to wo khoya jise hamesha hardam apna paya
===============================================
Humne bhi qasam khai hai jeene ki har rang me
Elahi bas dil ki jagah patthar rakhne ka hunar aajyae
===============================================

1 comment: