Pages

Tuesday, May 22, 2012


Woh daur-e-tifil me mera, hamsaya hua krte thy
Todte thy khelouna magar, rishta nai toda krte thy
Jwani ne aaj is dehleez pe la khada kia humayn
Ab todte hain dil , pehle jo khelouna toda krte thy

Bada hi kamzarf hain hum apni aarzooyon me BAQI
Ard-e-Elahi me khalq-e-khuda chahiye khuda nahin

kitni be-hiss hai aoulaad-e-aadam apni fitrat me
Darte hain machiss ki tili se magar aatish-e-jahannam se nahin

Labon pe shikyat liye phirte ho
Nigahon me nafrat liye phirte ho
Bhool gaye k tumne muhabbat ki hai!
Phir kiyon dard-e-ulafat liye phirte ho???

Khudi ki takleef se gar ankhe bhar aie to kya roya
Dard-e-digar me gar ashk bahe rukhsaar pe to kamaal hai

MITTI KA DHER HAI TU
FIR BHI MAGROOR HAI TU
SIFAT-E-KHALIQ SE NA ULAJH BANDE
NAFS K AAGY KAMZOOR HAI TU
Tanha na chhor meri jaaaa talab-e-rahem hai hal mera
Tujh se hi shab-o-roz hai mera tuzh se hi hai savera
Mai dard-e-ulfat me tadap raha hun har ghadi meri jaan
Faqat teri hi talab hai muzh ko har maqam o har jagah
Mai muqayyad hun zindan-e-muhabbat mai ek zamane se
Mujh ko rehai dede lamha bhar tu sharf-e-didaar se
Mujh ko haq dede k ab teri rasai paa sakun
Haqq-e-zayid kar ata tere ru-ba-ru aa sakun
Parde hata den darmiyan se aaye mehjabeen
Ab na aazma karam farma dekha rukhsaar-e-noori

Kahan ho tum ard-o-sama mai
Kahan ho tum mehekti fiza mai
Kahan ho tum chalti pavan mai
Kahan ho tum udte gagan mai
Kahan ho tum baag-o-bahar mai
Kahan ho tum sham-o-saher mai
Kahan ho tum phulon ki mahek mai
Kahan ho tum chaman ki chamak mai
Kahan ho tum subah ki thandak mai
Kahan ho tum sham ki rangat mai
Kahan ho tum shaiyer ki ghazal mai
Kahan ho tum kavi ke kheyal mai
Jahan kahi bhi ho tummmmmmm
Meherbaaa'n ho kar lout aao sanammmmmmmmmm

Mere maula tu hai aoula
Tuhi hai mere Kibriya
Himmat de Housla de
Zabt-e-nafs bhi kr ata
Hubb-e-Elahi Qurb-e-muhammadi
Se nawaz de tu
Ma-siwa qalb se mita
Emaan ko jilaa de tu
Har ghardi ulafat bhari
Tere zikr ke sath hon
Qalb me Allah Rooh me rasulullah
Zuban pe tera hi name ho
Mita de usy Mere dil se
Jo sultan thy is dil ka kabhi
Ab sun le tu Meri aarzoo
Louta na muzhe khali hath abhi
Rahem kar maula Hal-e-dil pe mera
Nafs ko na chhor yunhi aazad
Mere Elahi Karde poori
Dil ki tamam jaiz muraad

Wednesday, May 9, 2012

Tanha na chhor meri jaaaa talab-e-rahem hai hal mera
Tujh se hi shab-o-roz hai mera tuzh se hi hai savera
Mai dard-e-ulfat me tadap raha hun har ghadi meri jaan
Faqat teri hi talab hai muzh ko har maqam o har jagah
Mai muqayyad hun zindan-e-muhabbat mai ek zamane se
Mujh ko rehai dede lamha bhar tu sharf-e-didaar se
Mujh ko haq dede k ab teri rasai paa sakun
Haqq-e-zayid kar ata tere ru-ba-ru aa sakun
Parde hata den darmiyan se aaye mehjabeen
Ab na aazma karam farma dekha rukhsaar o jabeen