Pages

Wednesday, April 11, 2012

Elahi kiuyn Insan hi me hai anaparasti

Elahi kiuyn Insan hi me hai anaparasti is qadar
Jab k safar-e-zeest me jit ti hai dooriyan eksar
Koi gham nai hota is mitti ke putle ko
Jo krta hai qata talluq jan buzhkar
Jism-e-khaki me Elahi aisa kya dala hai
Hairat hai muzhko Elahi teri is khilqat par
Dia hai tune soozh-boozh ache bure ki
krte nahi hain amal aor rahte na-shukt
Krun mai dua teri bargah me roro kar
Neki ki de taufeeq aor aql-e-saleem atakar
Sabkuch hi tere hath hi me hai maula tu karam kar
Ana ki zidd se bachale maula hum hai khatawaar

No comments:

Post a Comment