Pages

Sunday, July 10, 2011

Daur-e-hazir ki nazneen

Itrao apne husn pe kro manmani duniya mai
khub todo shariat k ahkam jee bhar lo behayai mai
khub numaish kro jism ki dunia k rang mahel mai
dekh k tumhai sharmaye woh bhi jo rahta hai jungle mai

sharm kro tum mastoor ho parda tum par farz hai
tham lo daman islam k abhi bhi kuch nai bidra hai
jab mil jaye fursat tumhai to yad kro qaul-e-rasool
har momin pe farz kia he zindegi k chand wasool

naamz roza hajj zakat fitra parda kul hai 6
waqt par inko kro ada gafil na raho kabhi issy
touba kro aienda na ho koi khata taufeeq de
ya arhamar rahimeen apni rahmat ka jalwa dekha de
=============================================
Usy talab-e-humsafar hai, is dayar mai
usy talash-e-humnawa ha,i is qurb-o-jwar mai
Kitna nadaa(n) hai woh, apni soch-o-fikr mai
ehan koi qimat nahi kisi ki, kisi bhi dagar mai

yeh bazar-e-husn ki manind hai yaron
ehan bahta hai fareb ka darya yaron
khud ki aarzooyon ko bachalo ruswa hone se
ehan koi chehra shanasa sa na lagyga yaron
============================================
woh fakhr krti hai jism ki numaish me
woh khush hoti he gairon ki zebaish me
kabhi usy fursat mili hi nahi k e socchti
k Rabb ne bheja hai usy dar-e-Azmaish me
=========================================