Pages

Wednesday, June 29, 2011

Shikwa darr Shikwa

Woh sharif nahi sharaft ka dhong krte hain
who masoom nahi masoomiyat ka khoon krte hain
jazbaton se khelna hi uska mashgala he har dam
apne hunr ke izhar me woh nayab rahte hain

jab parda humne uske chehre ka hataya
mano chori krte pakra gaya aisa ghabraya
fir bhi the ba-zid apne khokle kridar par
humne kaha dost aaj se tumhe shukria
==========================================
Tum mumtaaz ho tumhey shahen shah-e-shah jahan mil jaye
mai kaneez hun saheb-e-alam ki muzhe didar-e-saleem mil jaye
=======================================
Tuhze kitni hasraton se chaha hoga
armanon ka jahaa(n) aabad raha hoga
krnegy naaz apni aashiqi par us waqt
jab tere kandhon pe mera janaza chara hoga
=========================================
humne aarmanon ki duniya aabada ki hain
chand doston ko batore mehman dawat ki hain
par be tab thin meri nazreyn unhey dekhne ko
afsos usi roz kisi ne unhyn shareek-e-hayat ki hai
==========================================
toot kr chahe aisa shaks na mila
dil ke bimar the koi tabeeb na mila
zindegi ki talash me bhagte rah gaye
maut ke qareeb agaye koi raqeeb na mila
=========================================
na talash is deyar me kisi ko
nazar aksar dhoka khati he ehan
insan ki shakal me milega har koi
par pehchan kisi ki asan nahi ehan
==========================================
kisi ki talash me is qadar masroof rahe hum
zindegi bhar muqaddar ki lakire mitata gya
==============================================
True friend:- Jo apke chahre ke ta assurat se ye pata laga leyn jo aap ki zubaan kehne se qasir hon
================================================
lamha-e-fursat me massage padta hun
un me basi yadon ko tatolta firta hun
ye guzre lamha bhi ajab he ya rab
har lafz me ak jahan aabad dekhta hun
====================================
Aj mehfil me toota hai jo dil kisi ka
shishe bhi shrmsar he aj tukro me
uski hasraton ka janaza utha aj kuch is tarah
dil ne be qabu na hone ki kasam khali he
===========================================
u to dam bharte hai har shaks apna hone ka
aazmane par nikla bashinda khud garz zamane ka
waqt-e-shadidi me har chehra be naqab ho gayaa
jisy apna samzha tha maine ohi ab begana hogya
===================================================
nikal le apne hisse ki roti gar chahta hai
yeh zamana kya dega jo khud mangta hai
bebas na kr apne aap ko kisi bhi dayar mai
tuhze pe nimat-e-azimusshan bakhshi hai parwardigar ne
============================================
Udte parindon ka par ginna nahi ata
tuzh me khami ya khubi ya dekhna nahi ata
humne to muhabbat ki hai unse yaroo
wafa be-wafa ye sochna nahi ata
======================================
Elahi aisa kiuy hota hai aksar
batade is banda-e-na samazh ko
jispe bhi krte hai yaqeen-e-jaan nisar
usi sehi milta kiuy hai taklifon ka ambaar
============================================
Muddaton me bhi na pa saka aks-e-muhabbat apni
Todti hai dam hasraten sham-o-saher apni
Wo muqayyed thi wasool-e-zindegani me is qadar
K mere mehboob pe naaz krti hai ulfat apni
===========================================
Ma'abud-e-Muhabbat se dua ki hath utha kar,
Darguzar kar meri khata ko aashiq samazh kar,
Gunahon k dal dal me rahta hun mai aksar,
Teri karamnawazi hogi gr meri dua qabool kar,
Waqi alam-e-taish me khata ki hai magar,
Dar-e-tauba khat khataya barha hazar,
Pukarta ma'abud-e-bar haq ko nisf agar,
Woh krta zaroor meri khataon ko darguzar.
Yehi farq he insan aur khuda me aye rah guzar,
Woh mafi me be niyaz hai hamesha o aksar,
Isi garz sirf usi ki hi ibadat krta hai ahqar
Jo hai ru-e-zamme ka khaliq o malik-e-ambar.
===========================================

No comments:

Post a Comment