Pages

Saturday, September 5, 2009

HAMD-O-SANA-E-BARIE TAYALA



Shru us rabb-e-do jahan ke name se jo be-had rahm-o-karam krne wala hain. Yqinan us ki zaat ba barkat he aur jahan ke tamam khitte par uski sultanat hain aur har zarre pe us ki qudrat. Beshak woh layeq-e-purstish hain, nahi hain koi ma'bud siwa-e-uske. aur beshumar o bepanah durud-o-salam ho uske rasool-e-bar haq fakhr-e-maujoodat, sayyedul mursaleen, khaatamun nabiyyin, aaqa sarwar-e-do alam, noor-e-mujassam, huzur alihissalatu wassalam par. yeh woh shaksiyat hain jinke lea Allahu jalla jalaluhu ne farmaya sabse bad kr muhabbat-e-khulus ka haqdar hain. aur inse mohabbat ki takeed farmaye eha tak k inteha se tajawuz kr jaye to bhi kam he.
========================================================
Hamd Teri o Sana Teri Har Shaye Tere Mohtaaj Hai
Tu Hai Sab Ka PalneWala q kr Kisi Or Ki Ibadatdat krey
Jab Tuhi Khaliq Tuhi Malik Kisi Aor Ko Hum Kya Jane
Firbhi Tere Sharik Bana kr Q Gairon Ko Sijda Kia Krey
Tu Lasani Hai Apni Fitrat Pe Jab Tera Zawal Hi Mumkin Nahi
Q Na Tuzhko Buland o Bala Samazh Kar Sijda Ada krey
Tuhi Nasir Tuhi Zahir Tuhi Sab Kuch Dekhne Wala
Q Na Tuzheko Baseer Samzhkr Har Ghari Tuzh Se Dara Krey
Tuhi Raheem Tuhi Kareem Tuhi Be hisaab Denewala
Tere Ikhteyar Ko Q Na Hum Sar-e-Kham Tasleem Krey
=======================================================
Na rif'aton ki talab hai muzhe na intehan ki talsha hai
Aye mere KIBRIA muzhe sijda-e-maqbool ki talash hai
====================================================
Talabgar tuzh se jo talab kre, usy woh ataa kar
Mai banda hun, muzhe sirf quwwat-e-bandegi aata kar

Na anaa chahiye na shahen shahi, Aajizi aata kar
Supurd-e-khak ki garz, do gaz zameen aata kar

Na daulat chahiye na shohrat, sharafat-e-nafs aata kar
Khasail-e-razila se rakh paak, ausaaf-e-hasana aata kar

Na jaza chahiye na saza, aamal-e-salehh ki sadat aata kar
Har sajde ko mere MAULA, sharf-e-qabuliyat aata kar

Jisy ho talab-e-duniaya, usy khoob khoob ataa kar
Muzhe talab-e-RABB-E-PAK hon, aisa qalb ataa kar

Mere MAULA har bande ko aiesh-o-ishrat aata kar
Muzhe sirf mere KHUDA, zaroorat-e-zindegi aata kar

Zubann ki jadugari de sabko, lahn-e-shireen ataa kar
Muzh ko zikr-e-ELAHI ki ho taufeeq, aisi zubaan ataa kar

TAWAKKALTU ALALLAH kar skun QANAAT ki taufeeq ataa kar
IMAAN-E-MUFASSIL BIL-QALB yaqeen-e-kamilah ataa kar

Jo mangne se rah gaya aye RABB-E-QUDRAT who bhi ataa kar
Teri khushnudi ki ho talab ta-umr aisi zindegi ataa kar

Mere anjaam bil-khair hon MAULA, aisi fikr ataa kar
Teri RADA ki ho rasai mujh ko aisa zikr ataa kar

Jo kuch bhi qalam-daraaz hai Baaqi khair-o-barkat ataa kar
khalq-e-KHUDA ko ameen kahne ki taufeeq-o-sadaat ataa kar
==================================================
Nahi kisi qalam ke mohtaaj hai woh
Bila shuba rabb-e-zul jalaal hai woh
Na dam hai kisi me sifat-e-bari tala kre
Na parwah hai usy koi uski bandegi kre
Woh be-niyaz hai hamesha se aur rahega
Khalq hamesha uska ghulam rahega
Na hai koi bahar uski nigahbani se
Wohi hai maula beshak rooz-e-azal se
Sar-e-kham kar hamatan uske aggy e soche bina
Woh khuda hai khuda rahega har cheez ke bina.
=============================================

AQWAL-E-ZARRIEIN

SHARAFAT agar khahishat-e-nafsani me mudgam hokr fitrat-e-insani se shikast kha jati he natijah apni pehchan se sabakdoshi hattal imkan kaushish nafsi juhud ki honi chahiye agar e galib ajaye to shaksiyat ka zwaal yaqini hain. arsh-se-farsh pe aa girega insani wajood.

"MUHABBAT"
pal bhar kelea bhi mehbub ki yaad se gafil na hona, zahen ke goshe goshe pe uski hukumat goya wo kisi deyar ka hakim hon. muhabbat agar jismani sukun ki husulyabi me garq ho jaye to uski pakizgi kafoor ho jati he fir ak aisa phool ke manind he jo apni khushbu o taharat khochuka hon natijah sar se utar kr payer se ronda jaana. piyar me jismani taskeen ki kahi koi gunjaish hi nahi wrna woh piyaar nahi mehez hawas he HAWAS. aur hawas ki muddat 2 se 5 minute he jabke piyar ki muddat ta umr hain yeh ankhon se shuru ho kr sanson pe khatam hota hain. koi nazar bhi mehboob pe khawahish ki guzri to samzho yeh muhabbat ki tauheen hain aur tum is khitte main basne ka layeq hi nahi

sanjeedgi zindegi ka har pehlu ka ahem tareen hissa hain so learn how can control on emotions its help u to get an unique place among d people

MUSLIM jab tak apne hath o zuban ko kisi khalq-e-khuda ko takleef puhchane se baaz na rakh paye tab tak o musalman nahi khlaya ja sakta q k iza rasani (kisi ko bila uzr takleef dena)ISLAAM me haram (extrictly prohibited by Allahu Sultanuhi)hain.
ibadat-e-elahi me zaouq ko buland rakhne kelea zaruri hain mazhabi ahkam ko apne upar lazim krden hattal imkan munkir baton se apne ap ko roke yaqinan Allahu wajje ajal us shaks ko apni qaoum me nayab maqam ata krega maut se phle or maut ke bad bhi.

Apna pan me istemal ki gai fuhush zuban bhi dua ka maqam rakhti he bashart-e-k
gusse ka jwalamukhi fat na paye wrna sab kuch bah jayega.

Rishton ke darmiyan duriyan, na-ittefaqi rishton ko aur bhi zada mazbuti o mustahkam bakhsti he khawa muddat-e-ranjish taveel kuy na hon

Har rishton ka aaghaz poshida muhabbat se hoti he jis me chand ak wajuhat khalal paida krdeta he lekin ise khatm krne me kisi ghayer ki himayat yaqini o lazmi he firbhi ghayer ka wajood ka maujood hona be-inteha takleef-deh he.

Zindegi ke chiragon ko mahez chand la-hasil waqeyat ki wajuhat ke bina par buzhne na do, yeh woh qimti shay hain jise qudrat ne tamam chizon par fauqiyat di hain, iska koi nimal-badal nahi, sirf aur sirf hifazat hi iska ahem maqsad hain, koi digar shay nahin jiski banisbat ise maol lia ja sake.